zabāñ ḳhamosh rahe tark-e-mudda.ā na kare
ye iltijā bhī nahīñ kam ki iltijā na kare
maiñ nañg-e-ishq samajhtā huuñ zindagī ke liye
vo dil jo gardish-e-daurāñ kā sāmnā na kare
dilā rahī hai yaqīn-e-vafā mujhe vo nazar
ye baat aur hai har ek se vafā na kare
use bahār kī rañgīniyāñ nasīb na hoñ
chaman meñ rah ke chaman kā jo haq adā na kare
kabhī kabhī ye binā-e-karam bhī hotī hai
jafā-e-yār se andāza-e-jafā na kare
musībatoñ se nikhartā hai ishq ai 'shā.ir'
duā ko haath bhī uTh jaa.eñ to duā na kare