saaqī kī nigāhoñ kā paiġhām nahīñ aatā
jis jaam kā tālib huuñ vo jaam nahīñ aatā
mai-ḳhvāroñ kī laġhzish par duniyā kī nigāheñ haiñ
nā-fahmī-e-vā.iz par ilzām nahīñ aatā
allāh-re majbūrī allāh-re mahrūmī
yā bārish-e-sahbā thī yā jaam nahīñ aatā
betābī-e-dil rāz-e-taskīn-e-mohabbat hai
achchhe haiñ vahī jin ko ārām nahīñ aatā
yā dil ke dhaḌakte hī uThtī thī nazar un kī
yā dil kā taḌapnā bhī ab kaam nahīñ aatā
mai-kash kī bhī suntā hai zāhid kī bhī suntā hai
us dar se kabhī koī nākām nahīñ aatā
merī hī nazar 'shā.ir' rusvā hai zamāne meñ
husn-e-sar-e-mahfil par ilzām nahīñ aatā