dil mujhe kufr āshnā na kare
banda but kā huuñ maiñ ḳhudā na kare
kāTtī hai patañg ġhairoñ kī
ham se takkal tire uḌā na kare
sulh manzūr hai agar tum ko
aañkh aġhyār se laḌā na kare
kyuuñ na āñchal dupaTTe kā laTke
ho parī-zād par lagā na kare
hai vo but ab to mahv-e-yaktā.ī
Dar ḳhudā kā na ho to kyā na kare
paḌhe 'nādir' jo sher-e-tarz-e-jadīd
sun ke kyuuñ ḳhalq vāh-vā na kare