phūloñ ko apne paañv se Thukrā.e jaate haiñ
mal kar vo itr baaġh meñ itrā.e jaate haiñ
ai dil qarār sabr hai lāzim firāq meñ
betābiyoñ se kyā vo tirī aa.e jaate haiñ
aa.e haiñ din bahār ke sayyād kah rahā
taa.ir qafas meñ baaġh ke ghabrā.e jaate haiñ
chuhloñ se chheḌ-chhāḌ se vāqif nahīñ haiñ vo
kyā gudgudā.iye ki vo sharmā.e jaate haiñ
tar sharm ke pasīne se aise hue haiñ raat
malbūs-e-ḳhās dhuup meñ sukhlā.e jaate haiñ
nāzuk kamar vo aise haiñ vaqt-e-ḳhirām-e-nāz
zulfeñ jo kholte haiñ to bal khaa.e jaate haiñ
shukr-e-ḳhudā-e-pāk hai ai 'nādir'-e-hazīñ
ummat meñ ham rasūl kī kahlā.e jaate haiñ