ruuh tanhā ga.ī jannat ko subuk-sārī se
chaar ke kāñdhe uThā jism girāñbārī se
taaq tāqat hai ġham-e-hijr kī bīmārī se
baiThte uThte haiñ aahoñ kī madad-gārī se
husn-e-ruḳhsār baḌhā ḳhat kī numūdārī se
zīnat-e-saf.ha huī jadval-e-zañgārī se
tū jo talvār se nahlā.e lahū meñ mujh ko
ġhusl-e-sehhat huā bhī ishq kī bīmārī se
aur to tark kiyā sab ne shab-e-furqat meñ
bekasī baaz na aa.ī mirī ġham-ḳhvārī se