tashrīf shab-e-va.ada jo vo laa.e hue haiñ
sar ḳham hai nazar nīchī hai sharmā.e hue haiñ
ruḳh par jo siyah-zulf ko ko bikhrā.e hue haiñ
vo chaudhvīñ ke chāñd haiñ gahnā.e hue haiñ
phūloñ se sivā hai badan-e-pāk meñ ḳhushbū
kab itr lagāne se vo itrā.e hue haiñ
hammām meñ jaane ke liye kyā kahiye koī
vo to araq-e-sharm meñ nahlā.e hue haiñ