apne ḳhalā meñ lā ki ye tum ko dikhā rahā huuñ maiñ
vo jo ḳhalā-navard haiñ un ke liye ḳhalā huuñ maiñ
ishq huā nahīñ mujhe ishq ko ho gayā huuñ maiñ
utnā nahīñ bachā huā jitnā paḌā huā huuñ maiñ
ban to gayā huuñ kūza-gar ghuum ke tere chaak par
jaisā banā rahā thā tū vaisā nahīñ banā huuñ maiñ
miTTī yahāñ kī Thiik hai miTTī se kuchh gilā nahīñ
āñkheñ milā milā ke bas paanī badal rahā huuñ maiñ
bhes diye kā dhaar kar terī duā sañvār kar
biich meñ tāqcha hai aur donoñ taraf khaḌā huuñ maiñ
ruuh milī hai yā nahīñ itnā maiñ jāntā nahīñ
tere se ek jism ko pahle bhī mil chukā huuñ maiñ
baara baje ke ba.ad ik din ko nikālte hue
dekhā to jā chukā huuñ par pakḌā nahīñ gayā huuñ maiñ