bahut sā kaam to pahle hī kar liyā maiñ ne
jahāñ jahāñ mujhe Darnā thā Dar liyā maiñ ne
ḳhalā meñ girvī rakkhā apne saare ḳhvāboñ ko
aur is zamīn pe chhoTā sā ghar liyā maiñ ne
bahut shadīd tavajjoh kā sāmnā thā mujhe
so ik gilass ko paanī se bhar liyā maiñ ne
ḳhudā jahāz ke andar se rizq pheñktā thā
ḳhudā kā shukr hai kuchh catch kar liyā maiñ ne
havā meñ haath ghumāyā ġhazal nahīñ aa.ī
uchak ke phuul hī kāġhaz pe dhar liyā maiñ ne
tamām dost samundar ke paar jaane lage
par ek dil ko to sāhil pe dhar liyā maiñ ne