Faizan Hashmi

donon jahan se aa gaya kar ke idhar udhar ki sair

Faizan Hashmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1986
donoñ jahāñ se aa gayā kar ke idhar udhar kī sair
pūchho na jā rahā huuñ maiñ karne ko ab kidhar kī sair
miTTī kī ḳhūb-sūratī miTTī meñ mil ke dekhiye
chhoḌiye is makīn ko kījiye apne ghar kī sair
dekhī nahīñ thī chaak ne achchhī tarah se dekh lī
vaise bhī dil-fareb thī kuuze pe kūza-gar kī sair
seb ke peḌ ke tale geñd vo ghūmtī huī
puurī kashish se khīñch kar karne lagī hai sar kī sair
vaise to kuchh nahīñ patā itnā patā hai baaġh hai
barsoñ se kar rahā huuñ maiñ jis ke liye udhar kī sair
terī hī sair ke liye aatā rahūñgā baar baar
terā thā saat din kā shauq merī hai umr bhar kī sair
pahlī nazar meñ kā.enāt utnī khilī ki jitnī thī
phir jo nazar ne sair kī kartī rahī ḳhabar kī sair
Top Urdushayar.com