Faizan Hashmi

aankhen bujh jaengi shoala rah jaega

Faizan Hashmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1986
āñkheñ bujh jā.eñgī sho.ala rah jā.egā
ya.anī jo dekhā thā dekhā rah jā.egā
aglī saa.at sher puurā kar pā.egī
yā ye misra mere jaisā rah jā.egā
terā bosa aisā pyāla hai jis meñ se
paanī piine vaalā pyāsā rah jā.egā
donoñ meñ se us pe dil ko ruknā hogā
lamhoñ meñ se jo zyāda rah jā.egā
merī aahaT sun le jo tū sun saktā hai
phir ye aanā jaanā naġhma rah jā.egā
rañg āḳhir uḌte jā.eñge yādoñ ke
dil meñ baaqī hai jo ḳhāka rah jā.egā
laḌkiyāñ do uTh na pā.eñgī leTī to
husn apnā husn chuntā rah jā.egā
Top Urdushayar.com