ab kahāñ us kī zarūrat hai hameñ
ab akele-pan kī aadat hai hameñ
dekhiye jā kar kahāñ rukte haiñ ab
terī qurbat se to hijrat hai hameñ
saañs letī ek ḳhushbū hai jise
vird karne kī ijāzat hai hameñ
dil-jazīre par hai us kī raushnī
ik sitāre se mohabbat hai hameñ
ab zarā sargoshiyoñ meñ baat ho
mehrbāñ lahje kī aadat hai hameñ
phir usī chaukhaT kī dil ko hai taḌap
phir usī dar par sukūnat hai hameñ
ham tahayyur khol deñge aañkh se
ki mayassar terī qurbat hai hameñ