zabt hoñToñ pe aa gayā to phir
terā sab hausla gayā to phir
sāl-hā-sāl kā akelā-pan
tujh ko andar se khā gayā to phir
merī tanhā.ī kā ye sannāTā
har taraf gūñjtā gayā to phir
vo jo ta.abīr ban ke aayā hai
ḳhvāb saare jalā gayā to phir
har taraf ye safed sūnā-pan
manzaroñ ko jalā gayā to phir
jhiil āñkheñ sarāhne vaalā
in ko dariyā banā gayā to phir
apne sab lafz de diye us ko
ab vahī boltā gayā to phir
is ke lahje kā rañg agar 'nāhīd'
tere lahje pe chhā gayā to phir