abhī se tāq-e-talab par na tū sajā mujh ko
abhī to karnā hai is dil se mashvara mujh ko
abhī shabīh mukammal nahīñ huī terī
abhī to bharnā hai ik rañg-e-māvarā mujh ko
koī na koī to sūrat nikal hī aa.egī
zarā batāo to darpesh marhala mujh ko
ye baat baat pe takrār-o-bahs kyā karnā
ki jītnā hai tumheñ aur hārnā mujh ko
maiñ us kī zaat meñ shāmil thii, us ko mil jaatī
duā-e-ḳhair samajh kar vo māñgtā mujh ko
maiñ jis meñ dekh ke ḳhud ko sañvār luuñ 'nāhīd'
abhī milā hī kahāñ hai vo aa.inā mujh ko