Naheed Virk

azab-e-hijr se anjaan thoDi hota hai

Naheed Virk

Pakistan

azāb-e-hijr se anjān thoḌī hotā hai
ye dil ab itnā bhī nādān thoḌī hotā hai
ye zindagī hai bahut kuchh yahāñ pe mumkin hai
ki kuchh na hone kā imkān thoḌī hotā hai
ye dil ke zaḳhm chhupā kar jo muskurāte haiñ
to mere dost ye āsān thoḌī hotā hai
kabhī-kabhār to bid.at bhī ho hī jaatī hai
har ek lamha tirā dhyān thoḌī hotā hai
vo jis ke paas mohabbat bhī ho, vafā bhī ho
bhalā vo be-sar-o-sāmān thoḌī hotā hai
tirī vafā meñ kamī kuchh to aa.ī hai ki ye dil
bilā-javāz pareshān thoḌī hotā hai
idhar udhar se dalīleñ uThānī paḌ jaa.eñ
jo itnā kachchā ho, īmān thoḌī hotā hai
Top Urdushayar.com