Alka Mishra

safar hai dhup ka isMein qayam thoDi hai

Alka Mishra

Kanpur Dehat, Uttar pradesh, India

1970
safar hai dhuup kā is meñ qayām thoḌī hai
balā hai ishq ye bachchoñ kā kaam thoḌī hai
kisī ko vasl hai bojhal koī firāq meñ ḳhush
diloñ ke khel meñ koī nizām thoḌī hai
hamāre dil meñ dhaḌaktā hai naam us kā abhī
hai ye shurū-e-mohabbat tamām thoḌī hai
jo ahl-e-ishq haiñ manzil kā ġham nahīñ karte
ye ḳhaas logoñ kā rasta hai aam thoḌī hai
ham apne man kī kareñge burā lage ki bhalā
hamārā dil hai tumhārā ġhulām thoḌī hai
tumhārī yaad jo aa.ī to aa ga.e milne
vagarna tum se hameñ koī kaam thoḌī hai
baḌhā jo dard to kāġhaz pe ḳhud utar aayā
samajh ke soch ke likkhā kalām thoḌī hai
Top Urdushayar.com