ho jā.eñge jis roz sabhī kaam mukammal
aa jā.egā is ruuh ko ārām mukammal
dil meñ hai magar us se kabhī kah nahīñ paa.e
aane se tire hotī hai ye shaam mukammal
bātoñ meñ mahārat jise hāsil nahīñ hotī
aksar vahī ho jaatā hai nākām mukammal
kuchh kaam to ho jaate haiñ is ḳhauf se aksar
ho jaa.eñ na ham bhī kahīñ gumnām mukammal
aa jaatā bulāne se yaqīñ mujh ko hai lekin
us tak kabhī pahuñche nahīñ paiġhām mukammal
ye ziist mirī ziist hī rahtī bhī kahāñ phir
ruk jaatī agar gardish-e-ayyām mukammal