Aleem Akhtar

dard baDh kar dawa na ho jae

Aleem Akhtar

1914-1972
dard baḌh kar davā na ho jaa.e
zindagī be-mazā na ho jaa.e
in talavvun-mizājiyoñ kā shikār
koī mere sivā na ho jaa.e
lazzat-e-intizār hī na rahe
kahīñ vaada vafā na ho jaa.e
terī raftār ai ma.āz-allāh
hashr koī bapā na ho jaa.e
kāmyābī hī kāmyābī ho
to ye banda ḳhudā na ho jaa.e
merī betābiyoñ se ghabrā kar
koī mujh se ḳhafā na ho jaa.e
kuchh to andāza-e-jafā kījiye
dil sitam-āshnā na ho jaa.e
kahīñ nākāmi-e-asar āḳhir
mudda.ā-e-duā na ho jaa.e
vo nigāheñ na pher leñ 'aḳhtar'
ishq be-āsrā na ho jaa.e
Top Urdushayar.com