dil ko shā.ista-e-ehsās-e-tamannā na kareñ
aap is andāz-e-nazar se mujhe dekhā na kareñ
yak-ba-yak lutf o ināyat kā irādā na kareñ
aap yuuñ apnī jafāoñ ko tamāshā na kareñ
un ko ye fikr hai ab tark-e-ta.alluq kar ke
ki ham ab pursish-e-ahvāl kareñ yā na kareñ
haañ mire haal pe hañste haiñ zamāne vaale
aap to vāqif-e-hālāt haiñ aisā na kareñ
un kī duz-dīda-nigāhī kā taqāzā hai ki ab
ham kisī aur ko kyā ḳhud ko bhī dekhā na kareñ
vo ta.alluq hai tire ġham se ki allāh allāh
ham ko hāsil ho ḳhushī bhī to gavārā na kareñ
is meñ poshīda hai pindār-e-mohabbat kī shikast
aap mujh se bhī mire haal ko pūchhā na kareñ
na rahā terī mohabbat se ta.alluq na sahī
nisbat-e-ġham se bhī kyā ḳhud ko pukārā na kareñ
maiñ ki ḳhud apnī vafāoñ pe ḳhajil huuñ 'aḳhtar'
vo to lekin sitam o jaur se taubā na kareñ