vo kyā ga.e payām-e-safar de ga.e mujhe
ik jazba-e-junūn-e-asar de ga.e mujhe
har samt dekhtī hai jo un ke jamāl ko
vo ik nigāh-e-jalva-nagar de ga.e mujhe
har-chand karb-e-marg hai mahsūs har nafas
lutf-e-hayāt-e-ishq magar de ga.e mujhe
tasvīr-e-huzn-o-yās banā kar chale ga.e
lab-hā-e-ḳhushk o dīda-e-tar de ga.e mujhe
bedār kar ga.e sahar-o-shām-e-zindagī
āh-o-fuġhān-e-shām-o-sahar de ga.e mujhe
jamtī nahīñ nigāh kisī chiiz par bhī ab
ik ḳhīragi-e-tāb-e-nazar de ga.e mujhe
arz-e-hadīs-e-shauq pe sharmā ke rah ga.e
kitnā hasīñ javāb magar de ga.e mujhe
mere sukūn-e-qalb ko le kar chale ga.e
aur iztirāb-e-dard-e-jigar de ga.e mujhe
mahrūm-e-shash-jahāt nigāhoñ ko kar ga.e
bas ik nigāh-e-jānib-e-dar de ga.e mujhe
'aḳhtar' vo aa.e aur chale bhī ga.e magar
ik lutf-e-iztirāb-e-asar de ga.e mujhe