Aleem Akhtar

kisi ke wada-e-farda par etibar to hai

Aleem Akhtar

1914-1972
kisī ke vāda-e-fardā par e'tibār to hai
tulū-e-sub.h-e-qayāmat kā intizār to hai
mirī jagah na rahī terī bazm meñ lekin
tirī zabāñ pe mirā zikr-e-nāgavār to hai
matā-e-dard ko dil se aziiz rakhtā huuñ
ki ye kisī kī mohabbat kī yādgār to hai
ye aur baat ki iqrār kar sakeñ na kabhī
mirī vafā kā magar un ko e'tibār to hai
maqām-e-dil koī manzil na ban sakā na sahī
tirī nigāh-e-mohabbat kī rahguzār to hai
vo zauq-e-dīd na shauq-e-nazāra ab lekin
mirī nazar ko abhī un kā intizār to hai
agar nigāh-e-karam sheva ab nahīñ na sahī
mirī taraf abhī chashm-e-sitam-shi.ār to hai
ye aur baat nasīb-e-nazar nahīñ lekin
nafas nafas tire jalvoñ se ham-kanār to hai
zamāna saath nahīñ de rahā to kyā 'aḳhtar'
abhī jilau meñ mire baḳht-e-sāzgār to hai
Top Urdushayar.com