Aleem Akhtar

tu agar dil-nawaz ho jae

Aleem Akhtar

1914-1972
tū agar dil-navāz ho jaa.e
soz ham-rañg-e-sāz ho jaa.e
dil jo āgāh-e-rāz ho jaa.e
har haqīqat majāz ho jaa.e
lazzat-e-ġham kā ye taqāzā hai
muddat-e-ġham darāz ho jaa.e
naġhma-e-ishq chheḌtā huuñ maiñ
zindagī nai-navāz ho jaa.e
us kī bigḌī bane na kyuuñ ai ishq
jis kā tū kārsāz ho jaa.e
husn maġhrūr hai magar tauba
ishq agar be-niyāz ho jaa.e
dard kā phir maza hai jab 'aḳhtar'
dard ḳhud chārasāz ho jaa.e
Top Urdushayar.com