sharīk-e-hāl-e-dil-e-be-qarār aaj bhī hai
kisī kī yaad mirī ġham-gusār aaj bhī hai
mujhe to kal bhī na thā un par iḳhtiyār koī
aur un ko mujh pe vahī iḳhtiyār aaj bhī hai
tirī taraf se zuhūr-e-karam nahīñ na sahī
tire karam kā mujhe e'tibār aaj bhī hai
vo rasm-e-shauq kahāñ ab magar ye aalam hai
ki jaise dil ko tirā intizār aaj bhī hai
kisī kā naqsh-e-kaf-e-pā to ab kahāñ lekin
nishān-e-sajda sar-e-rahguzār aaj bhī hai
vo un kā ġham ki nigāheñ badal chukā 'aḳhtar'
kamāl-e-shauq kā parvardigār aaj bhī hai