mohabbat kā rag-o-pai meñ mirī rūh-e-ravāñ honā
mubārak har nafas ko ik hayāt-e-jāvedāñ honā
hamāre dil ko aa.e kis tarah phir shādmāñ honā
tirī nazroñ ne sīkhā hī nahīñ jab mehrbāñ honā
tire kūche meñ honā us pe terā āstāñ honā
mubārak tere kūche kī zamīñ ko āsmāñ honā
ye hālat hai ki bedārī bhī hai ik ḳhvāb kā aalam
ma.āz-allāh apnā ḳhūgar-e-ḳhvāb-e-girāñ honā
use ḳhush kar sakeñgī kyā bahāreñ zindagānī kī
chaman meñ jis ne dekhā ho bahāroñ kā ḳhizāñ honā
jo bad-qismat tire ġham kī masarrat se haiñ nā-vāqif
vo kyā jāneñ kise kahte haiñ dil kā shādmāñ honā
mujhe āñkheñ dikhā.egī bhalā kyā gardish-e-daurāñ
mirī nazroñ ne dekhā hai tirā nā-mehrbāñ honā
jabīñ o āstāñ ke darmiyāñ sajde hoñ kyuuñ haa.il
jabīñ ko ho mayassar kaash jazb-e-āstāñ honā
havas-kārān-e-ishrat aah kyā samjheñge ai 'aḳhtar'
bahut dushvār hai zauq-e-alam kā rāz-dāñ honā