tū nahīñ hai to zindagī hai udaas
har taraf hai muhīt zulmat-o-yās
vo musāfir qarīb-e-manzil hai
kho chukā hai jo apne hosh-o-havās
utre utre malūl chehroñ par
bikhrā bikhrā sā rañg-e-ālam-e-yās
chheḌ do phir koī tarāna-e-ġham
TuuT jaa.e na zindagī kī aas
maut bhī to use nahīñ aatī
ho chukā hai jo zindagī se udaas
ḳhāmoshī kā sabab kuchh aur hī hai
varna dil meñ na ḳhauf hai na hirās
ab ye 'parvez' dil kā aalam hai
koī ummīd hai na koī aas