haa.e vo muskurā.e jaate haiñ
do-jahāñ laḌkhaḌā.e jaate haiñ
ātishīñ husn daraḳhshanda jabīñ
mah-o-anjum pe chhā.e jaate haiñ
uf vo tāroñ kī mast chhāñv meñ
aap hī muskurā.e jaate haiñ
har tabassum hai ek afsāna
jis ko hañs kar sunā.e jaate haiñ
haa.e un mast añkhḌiyoñ kī qasam
do-jahāñ ko pilā.e jaate haiñ
mere rañgīn sheroñ ko 'parvez'
mujh se chhup kar vo gaay jaate haiñ