rasm hai ye duniyā kī khel hai ye qismat kā
chāhte jise ham haiñ vo nahīñ hai chāhat kā
jis ne hijr kaaTā hai bas vo jaan saktā hai
zaḳhm sil nahīñ saktā dard hai vo shiddat kā
aañkh mar to jaatī hai jiine kī tamannā meñ
aur vo nahīñ martā jo hai ḳhvāb hasrat kā
jo likhā lakīroñ meñ us ko puurā honā hai
vaqt Tal nahīñ saktā har ghaḌī musībat kā
sirf qasmeñ va.ade haiñ aur vaqt paḌne par
saath bhī nahīñ detā ab koī mohabbat kā