Maaham Shah

kya sunaun dil-e-muztar ka fasana tumko

Maaham Shah

Lahore, Punjab, Pakistan

1997
kyā sunā.ūñ dil-e-muztar kā fasāna tum ko
maiñ ne chāhā thā kabhī ek zamāna tum ko
ye jo tum eid pe bhī aate nahīñ lauT ke ghar
koī chhuTTī kā nahīñ hotā bahāna tum ko
bistar-e-marg pe maañ thī to na the sāmne tum
bahut hī mahñgā paḌā hai chale jaanā tum ko
gaañv ke kachche makānoñ meñ ye pakke rishte
raas aa.egā nahīñ shahr kā khānā tum ko
har mahīne ye na.e note ye ḳhat kyā matlab
na manāo nahīñ aatā hai manānā tum ko
ek kamra hai kirā.e kā ye bāzārī ġhizā
shahr meñ kaise mile shāhī Thikāna tum ko
āḳhirī ḳhat ko paḌho us meñ milegā 'māham'
bhuul jaane kā use koī bahāna tum ko
Top Urdushayar.com