Maaham Shah

dard-e-dil kaun aazmata hai

Maaham Shah

Lahore, Punjab, Pakistan

1997
dard-e-dil kaun āzmātā hai
kaun be-chainiyāñ baḌhātā hai
raat bhar jāgte rahe ho tum
jaane kyā ġham tumheñ satātā hai
hañste hañste jo rone lagte ho
kuchh kaho kaun yaad aatā hai
jis nujūmī ne thī hathelī paḌhī
kyā muqaddar bhī vo jagātā hai
jise karnā ho koī vāda-vafā
to vo phir lauT kar bhī aatā hai
kūcha-e-husn to gayā sālim
par ye dil TuuT kar hī aatā hai
maan letī huuñ us kā kahnā bhī
jaane phir ruuTh ke kyoñ jaatā hai
Top Urdushayar.com