Maaham Shah

mohabbat ho gai jis ko use ab dekhna kya hai

Maaham Shah

Lahore, Punjab, Pakistan

1997
mohabbat ho ga.ī jis ko use ab dekhnā kyā hai
bhalā kyā hai burā kyā hai sazā kyā hai jazā kyā hai
zarā tum sāmne aao nazar ham se to Takrāv
kise phir hosh ho tum ne kahā kyā hai sunā kyā hai
mohabbat jurm aisā hai ki mujrim hai khaḌā be-sudh
kiyā kyā hai gunah kyā hai sazā kyā hai ḳhatā kyā hai
na aanā ishq ke bāzār meñ andhī tijārat hai
diyā kyā hai liyā kyā hai bikā kyā hai bachā kyā hai
zamāna jhuum uTThā hai sadā-e-dād aatī hai
na jaane aaj 'māham' ne ġhazal meñ kah diyā kyā hai
Top Urdushayar.com