hijr lāzim hai to ye hijr nibhā.e jaao
jā rahe ho to koī rabt banā.e jaao
jo bhī is dil pe guzartī hai raqam karte raho
kaise mumkin hai kitābo se bhulā.e jaao
shāyad ye tarz kisī ruuh meñ ghar kar jaa.e
ain mumkin hai kisī dil meñ basā.e jaao
ye mirī raat bhī ummīd lagā.e hue hai
us ke dāman se koī sub.h lagā.e jaao
guftugū karte agar saath meñ hote kuchh der
jaate jaate mujhe ik sher sunā.e jaao
merī taḳhlīq ko āvāz banā do 'māham'
merī tahrīr kī ḳhāmoshī miTā.e jaao