is sadī meñ to sadāqat par sitam aisā huā hai
paañv chhoḌo par pasāre chhal kapaT phailā huā hai
haañ dhueñ pe qatl kā ilzām aa.egā yaqīnan
kyūñki ye har martaba kuchh ḳhaak kar paidā huā hai
ik taraf rakkhī mohabbat ik taraf hai fikr ya.anī
ik tarāzū meñ vazan kā ek hī palḌā huā hai
dekhte haiñ but sabhī ye mas.ala hairān ho kar
kis qadar yaañ aadmī ab aap hī maulā huā hai
raat bhar dikhtā rahā ik shaḳhs mujh ko ḳhvāb ban kar
soch kar vo ḳhvāb hī din aaj kā zaa.e.a huā hai