Nikita Pareek

thak gaya jab jism-o-jaan ke bojh ko Dhote hue

Nikita Pareek

Churu, Rajasthan, India

1998
thak gayā jab jism-o-jāñ ke bojh ko Dhote hue
chal diyā vo maut ke āġhosh meñ sote hue
mujh ko paḌhnā thā ki puure ḳhvāb apne kar sakūñ
beach aayā muflisī kā vāqi.a rote hue
aañkh bhar aatī hai jab dekhūñ vo bachcha rail meñ
vo khilaune bechtā hai bachpanā khote hue
maiñ baḌī huuñ ye anā bhī gir paḌī thī tab mirī
jab mirā saayā dikhā mujh se baḌā hote hue
dost kyoñ saada kafan oḌhā diyā tum ne mujhe
mujh ko jaanā thā mire ash.ār meñ sote hue
Top Urdushayar.com