laḳht-e-dil bikhrā jidhar bhī naqsh-e-jānāñ ban gayā
ġham izāfe ke liye jaise ki sāmāñ ban gayā
ḳhat jigar ghāyal kare aur phuul Dhaa.e hai sitam
zaḳhm ya.anī ik kurede ik namak-dāñ ban gayā
sirf ik hī dil milā thā ik sitam ye hī huā
aur phir ye bhī sitam vo hī pareshāñ ban gayā
dil kareñ dil maiñ banā.ūñ nuur se ḳhurshed ke
kyā musībat hai kahāñ se ab ye armāñ ban gayā
mas.ala ro.eñge kis ko kyā kareñge ġham sabhī
is jahāñ meñ 'gīt' gar ye ishq āsāñ ban gayā