Nikita Pareek

wasl mein bhi hijr ko mahsus kar ke aa gae hum

Nikita Pareek

Churu, Rajasthan, India

1998
vasl meñ bhī hijr ko mahsūs kar ke aa ga.e ham
dil lagāne ko ga.e the aañkh bhar ke aa ga.e ham
TūTnā phir aañkh bharnā kar rahe haiñ ham musalsal
maut se pahle hī kitnī baar mar ke aa ga.e ham
bazm meñ pūchhā kisī ne bevafā kā naam kyā hai
aur us ke naam se dīvār bhar ke aa ga.e ham
baat hai me.aar kī to mai-kade jaate nahīñ haiñ
par nashe meñ haiñ nasha ulfat kā kar ke aa ga.e ham
mas.ala karne lagā thā dil bhulāne meñ use tab
haath pakḌā aur dil hāthoñ meñ dhar ke aa ga.e ham
Top Urdushayar.com