mere ḳhat kā javāb aayā thā
ḳhat na likkhā karo ye likkhā thā
maiñ zabāñ se to kah nahīñ saktā
jo nazāra nazar ne dekhā thā
vaqt-e-mushkil vo saath chhoḌ gayā
jis pe mujh ko baḌā bharosā thā
apne begāne hote jaate the
bas isī baat kā achambhā thā
qatl kartā thā be-gunāhoñ kā
sab kī nazroñ meñ jo farishta thā
jis meñ 'rānā' hamārī umr kaTī
vo zamāna bhī kyā zamāna thā