sab kī āñkheñ to khulī haiñ dekhtā koī nahīñ
saañs sab kī chal rahī hai jī rahā koī nahīñ
maiñ sisakne kī sadā.eñ sun rahā huuñ baar baar
aap kahte haiñ ki ghar meñ dūsrā koī nahīñ
zindagānī ne liye go imtihāñ-dar-imtihāñ
zindagānī se mujhe phir bhī gila koī nahīñ
koī to āḳhir chalātā hai nizām-e-do-jahāñ
kaise mumkin hai ḳhudā.ī hai ḳhudā koī nahīñ
merī saarī koshishoñ ke kāvishoñ ke bāvajūd
mere saare kaam bigḌe haiñ banā koī nahīñ