bhalā kah diyā yā burā kah diyā
jise jo bhī achchhā lagā kah diyā
isī baat par vo bigaḌne lage
ki ham ne unheñ chāñd sā kah diyā
mirī aañkh kuchh aisī bharmā ga.ī
dhueñ ko bhī maiñ ne ghaTā kah diyā
ḳhudā hī samajhne lage ḳhud ko tum
kisī ne jo tum ko ḳhudā kah diyā
jise sun ke aap itne nā-ḳhush hue
vo ham bhī suneñ ham ne kyā kah diyā
kiyā zabt hoñToñ pe maiñ ne bahut
nigāhoñ ne sab mājrā kah diyā
sunī dil se 'rānā' jab us ne ġhazal
to ḳhush ho ke sad-marhabā kah diyā