zindagī dhuup meñ basar kī hai
baat lambī thī muḳhtasar kī hai
aa hī jā.egā apne matlab pe
baat pahle idhar udhar kī hai
saañp dekhe haiñ āstīnoñ meñ
kaisī manzil ye aaj sar kī hai
rañj ko mujh pe jo tasarruf hai
aisā lagtā hai baat ghar kī hai
darmiyāñ koī rāsta hī nahīñ
baat ik dūsre ke sar kī hai
ek tasvīr kī tarah chup thā
aur baat kis qadar kī hai
zindagī ab bhī hai 'sabā' dilkash
jo kamī hai tirī nazar kī hai