Bekhud Dehlvi

bewafa kahne se kya wo bewafa ho jaega

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
bevafā kahne se kyā vo bevafā ho jā.egā
tere hote is sifat kā dūsrā ho jā.egā
shart kar lo phir mujhe barbād honā bhī qubūl
ḳhaak meñ mil kar to hāsil mudda.ā ho jā.egā
sar na hogā dosh par to kyā na hogī guftugū
hichkiyoñ se shukr qātil kā adā ho jā.egā
siina toḌā dil meñ chuTkī lī jigar zaḳhmī kiyā
kyā ḳhabar thī tiir bhī terī adā ho jā.egā
mere kahne meñ hai dil jab tak mire pahlū meñ hai
aap le liije ise ye aap kā ho jā.egā
saath un ke jaan bhī armān bhī jā.eñge aaj
sub.h se pahle ravāna qāfila ho jā.egā
maiñ malūñ talvoñ se āñkheñ vo kaheñ samjhūñgā maiñ
yaad rakh phīkā agar rañg-e-hinā ho jā.egā
phir vahī jhagḌe kā jhagḌā hai agar qum kah diyā
teġh kā mansūḳh saarā faislā ho jā.egā
kis ḳhushī meñ haa.e kaisā ranj phailā kyā karūñ
kyā ḳhabar thī hañste hañste vo ḳhafā ho jā.egā
hashr tak kyuuñ baat jaa.e kyuuñ paḌe ġhairoñ ke muñh
ghar meñ samjhautā hamārā aap kā ho jā.egā
aañkh se hai vasl kā iqrār dil dugdā meñ hai
tum zabāñ se apnī kah doge to kyā ho jā.egā
zulm se gar zab.h bhī kar do mujhe parvā nahīñ
lutf se Dartā huuñ ye merī qazā ho jā.egā
us ne chheḌā thā mujhe tum jaan doge kab hameñ
kah diyā maiñ ne bhī jab vaada vafā ho jā.egā
yuuñ savāl-e-vasl par Taalā kiyā barsoñ koī
sabr kar muztar na ho terā kahā ho jā.egā
laakh duniyā meñ hasīñ hoñ laakh hūreñ ḳhuld meñ
mujh ko jo tū hai vo koī dūsrā ho jā.egā
tauba bhī kar lī thī ye bhī nashsha kī thī ik tarañg
aap samjhe the ki 'beḳhud' pārsā ho jā.egā
Top Urdushayar.com