Bekhud Dehlvi

har ek baat teri be-sabaat kitni hai

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
har ek baat tirī be-sabāt kitnī hai
palaTnā baat ko dam bhar meñ baat kitnī hai
abhī to shaam huī hai abhī to aa.e ho
abhī se pūchh rahe ho ki raat kitnī hai
vo sunte sunte jo ghabrā.e hāl-e-dil bole
bayān kitnī huī vārdāt kitnī hai
tire shahīd ko dūlhā banā huā dekhā
ravāñ janāze ke pīchhe barāt kitnī hai
kisī tarah nahīñ kaTtī nahīñ guzar chuktī
ilāhī saḳht ye qaid-e-hayāt kitnī hai
hamārī jaan hai qīmat to dil hai bai.āna
girāñ-bahā lab-e-nāzuk kī baat kitnī hai
jo shab ko khilte haiñ ġhunche vo din ko jhaḌte haiñ
bahār-e-bāġh-e-jahāñ be-sabāt kitnī hai
mahīnoñ ho ga.e dekhī nahīñ hai sub.h-e-ummīd
kise ḳhabar ye musībat kī raat kitnī hai
udū ke sāmne ye dekhnā hai ham ko bhī
kidhar ko hai nigah-e-iltifāt kitnī hai
ġhazal likheñ bhī to kyā ḳhaak ham likheñ 'beḳhud'
zamīn dekhiye ye vāhiyāt kitnī hai
Top Urdushayar.com