jo tamāshā nazar aayā use dekhā samjhā
jab samajh aa ga.ī duniyā ko tamāshā samjhā
us kī e.ajāz-numā.ī kā tamāshā.ī huuñ
kahīñ jugnū bhī jo chamkā yad-e-baizā samjhā
maiñ ye samjhā huuñ ki samjhe na mirī baat ko aap
sar hilā kar jo kahā aap ne achchhā samjhā
asar-e-husn kahūñ yā kashish-e-ishq kahūñ
maiñ tamāshā.ī thā vo mujh ko tamāshā samjhā
kyā kahūñ mere samāne ko samajh hai darkār
ḳhaak samjhā jo mujhe ḳhaak kā putlā samjhā
ek vo haiñ jinheñ duniyā kī bahāreñ haiñ nasīb
ek maiñ huuñ qafas-e-tañg ko duniyā samjhā
merā har sher hai ik rāz-e-haqīqat 'beḳhud'
maiñ huuñ urdu kā 'nazīrī' mujhe tū kyā samjhā