jo tujhe imtihān detā hai
kis ḳhushī se vo jaan detā hai
kyā diyā ham ne jaan dī jo use
ye to saarā jahān detā hai
chāhiye aap ko to le liije
jaan ik nā-tavān detā hai
tujh se bā-vaz.a hai tirā ḳhanjar
marne vāloñ pe jaan detā hai
naam suntā hai jab vo 'beḳhud' kā
gāliyāñ bad-zabān detā hai