Bekhud Dehlvi

dil hai mushtaq juda aankh talabgar juda

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
dil hai mushtāq judā aañkh talabgār judā
ḳhvāhish-e-vasl judā hasrat-e-dīdār judā
zāhidoñ se na banī hashr ke din bhī yā-rab
vo khaḌe haiñ tirī rahmat ke talabgār judā
jī jalāne ko satāne ko miTāne ko mujhe
vo judā ġhair judā charḳh-e-sitam-gār judā
bijliyāñ hazrat-e-mūsā pe girīñ do ik baar
shola-e-shauq judā shola-e-dīdār judā
ho ga.e vo sahar-e-vasl ye kah kar ruḳhsat
tujh se kartā hai mujhe charḳh-e-sitamgār judā
qatl karte hī mujhe jalva-numā.ī bhī huī
dar pe hañgāma alag hai pas-e-dīvār judā
zāhidoñ kī tirī rahmat pe chaḌhā.ī hai alag
Toliyāñ bāñdh kar aa.e haiñ gunahgār judā
vaz.a kā paas bhī hai 'beḳhud'-e-mai-ḳhvār zarūr
kaag botal se na kījiye sar-e-bāzār judā
Top Urdushayar.com