Bekhud Dehlvi

betab rahen hijr mein kuchh dil to nahin hum

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
betāb raheñ hijr meñ kuchh dil to nahīñ ham
taḌpeñ jo tujhe dekh ke bismil to nahīñ ham
haiñ yaad bahut makr o fareb aise hameñ bhī
muTThī meñ jo aa jaa.eñ tirī dil to nahīñ ham
ab aap koī kaam sikhā dījiye ham ko
ma.alūm huā ishq ke qābil to nahīñ ham
kahne ko vafādār tumheñ laakh meñ kah deñ
dil se magar is baat ke qaa.il to nahīñ ham
kyuuñ ḳhizr ke pairav hoñ tirī rāh-e-talab meñ
āvāra o gum-karda-e-manzil to nahīñ ham
kahte haiñ tamannā-e-shahādat ko vo sun kar
kyuuñ qatl kareñ aap ko qātil to nahīñ ham
haiñ dil meñ agar tālib-e-dīdār tumheñ kyā
kuchh tum se kisī baat ke saa.il to nahīñ ham
vo pūchhte haiñ mujh se ye mazmūñ to nayā hai
terī hī tarah se kahīñ be-dil to nahīñ ham
ham jaate haiñ yā hazrat-e-dil aap sidhāreñ
jā.eñge ab us bazm meñ shāmil to nahīñ ham
in āñkhoñ se ham ne bhī to dekhā hai zamāna
ham se na kaho ġhair pe maa.il to nahīñ ham
marne ke liye vaqt koī taak rahe haiñ
is kaam ko samjhe abhī mushkil to nahīñ ham
kahte haiñ tujhe dekh ke aatā hai hameñ rashk
baiThe hue dushman ke muqābil to nahīñ ham
har saañs meñ rahtā hai tirī yaad kā khaTkā
'beḳhud' haiñ to hoñ kaam se ġhāfil to nahīñ ham
Top Urdushayar.com