dil churā le ga.ī duzdīda-nazar dekh liyā
ham na kahte the ki us chor ne ghar dekh liyā
banda-parvar ġham-e-furqat kā asar dekh liyā
dāġh-e-dil dekh liyā dāġh-e-jigar dekh liyā
qad bhī kam umr bhī kam mashq-e-sitam aur bhī kam
kar chuke qatl mujhe jā.iye ghar dekh liyā
shikve ke saath lagāvaT bhī chalī jaatī hai
jab kiyā kuchh to kanakhiyoñ se idhar dekh liyā
dād-ḳhvāhoñ pe na.ī hashr meñ aafat aa.ī
saf kī saf loT ga.ī us ne jidhar dekh liyā
qatl-e-ushshāq pe lo aur uThāo ḳhanjar
jhuk ga.ī bār-e-nazākat se kamar dekh liyā
na chhuTā tum se ye mai-ḳhāne kā rasta 'beḳhud'
muñh chhupā.e hue jaate ho kidhar dekh liyā