Bekhud Dehlvi

mujhko na dil pasand na wo bewafa pasand

Bekhud Dehlvi

Bharatpur, Rajasthan, India

1863-1955
mujh ko na dil pasand na vo bevafā pasand
donoñ haiñ ḳhud-ġharaz mujhe donoñ haiñ nā-pasand
ye dil vahī to hai jo tumheñ ab hai nā-pasand
māshūq kar chuke haiñ jise bār-hā pasand
jins-e-vafā ko karte haiñ ahl-e-vafā pasand
dushman ko kyā tamīz hai dushman kī kyā pasand
jannat kī koī huur nazar par chaḌhī nahīñ
duniyā meñ mujh ko ek parī-zād thā pasand
roñdī kisī ne pā-e-hinā.ī se merī naash
thī zindagī meñ mujh ko jo bū-e-hinā pasand
vo bad-nasīb hai jise aayā pasand tū
qismat to us kī hai jise tū ne kiyā pasand
chiḌte haiñ vo savāl se ye ham samajh ga.e
hai is liye unheñ dil be-mudda.ā pasand
sūrat bhī pesh-e-chashm hai sīrat bhī pesh-e-chashm
dam bhar meñ to pasand hai dam bhar meñ nā-pasand
tujh ko ġhurūr-e-zohd hai sharm-e-gunah mujhe
zāhid kise ḳhabar ki ḳhudā ko ho kyā pasand
choTeñ chaleñgī ḳhuub barābar kī joḌ hai
tū hai adā-shanās to maiñ huuñ adā-pasand
hir phir ke un kī aañkh udū se laḌe na kyuuñ
fitna ko kartī hai nigah-e-fitna-zā pasand
maiñ ḳhud sikhā rahā huuñ sitam kī adā unheñ
duniyā meñ kab huā koī mujh sā jafā-pasand
rakh deñge ā.īne ke barābar ham apnā dil
yā to ye nā-pasand huā un ko yā pasand
kis darja sāda-lauh haiñ āshiq-mizāj bhī
jo Dhab pe chaḌh gayā vo unheñ aa gayā pasand
merā hī kyā qusūr ye mujh par sitam hai kyuuñ
āñkhoñ ne dekhā aap ko dil ne kiyā pasand
inkār sun chuke haiñ talabgār kyuuñ baneñ
miltā nahīñ koī to hai be-fā.eda pasand
'beḳhud' to mar miTe jo kahā us ne naaz se
ik sher aa gayā hai hameñ aap kā pasand
Top Urdushayar.com