raat bhar gardish thī un ke pāsbānoñ kī tarah
paañv meñ chakkar thā mere āsmānoñ kī tarah
dil meñ haiñ lekin unheñ dil se ġharaz-matlab nahīñ
apne ghar meñ rahte haiñ vo mehmānoñ kī tarah
dil ke dene kā kahīñ charchā na karnā dekhnā
le ke dil samjhā rahe haiñ mehrbānoñ kī tarah
naam par marne ke marte haiñ magar marte nahīñ
kaun jī saktā hai ham se saḳht-jānoñ kī tarah
dil jo kuchh kahtā hai karte haiñ vahī 'beḳhud' magar
sun liyā karte haiñ sab kī be-zabānoñ kī tarah