laḌā.eñ aañkh vo tirchhī nazar kā vaar rahne deñ
laḌakpan hai abhī nām-e-ḳhudā talvār rahne deñ
kaheñ kis muñh se apnā ā.īna-bardār rahne deñ
tamannā hai ġhulāmī meñ hameñ sarkār rahne deñ
vo kyuuñ 'beḳhud' ko mahv-e-lazzat-e-dīdār rahne deñ
vo dīvāne nahīñ ġhāfil ko jo hushyār rahne deñ
mire dam tak vafā o ishq bhī duniyā meñ baaqī haiñ
masīhā.ī yahī hai vo mujhe bīmār rahne deñ
qayāmat aa ga.ī ab to galā murdār kā kāTeñ
kahāñ tak maut ko zinda tire bīmār rahne deñ
isī parde ne umr-e-ḳhizr shauq-e-dīd ko baḳhshī
qayāmat tak vo apnī garmi-e-bāzār rahne deñ
sun ai qāsid unheñ zid hai to ham ko baat kī pach hai
munāsib vo agar samjheñ to ye takrār rahne deñ
mire mātam kī kyā jaldī hai kyuuñ zevar baḌhāte haiñ
abhī ārāsta vo husn kā bāzār rahne deñ
agar munkar nakīr aate haiñ turbat meñ to aa jaa.eñ
na chheḌeñ vo mujhe mahv-e-jamāl-e-yār rahne deñ
qafas meñ bekasoñ ko kis ne pūchhā kaun pūchhegā
kahāñ tak zaḳhm kī sūrat meñ vā minqār rahne deñ
nigāh-e-sharm ke zaḳhmī haiñ teġh-e-nāz ke bismil
taḌapne ke liye ham ko pas-e-dīvār rahne deñ
ye fiqre haiñ ye chāleñ haiñ nazar lākhoñ meñ uTh jaatī
udū ke sāmne vo ho ga.e nā-chār rahne deñ
jigar meñ dard dil meñ Tiis dam ghuTne lagā apnā
bhalā ham ek ghar meñ aur do bīmār rahne deñ
mohabbat se hameñ nafrat hasīnoñ se hameñ vahshat
dil-āzārī kī bāteñ ab ye dil-āzār rahne deñ
hamāre kaan lafz-e-bevafā sun hī nahīñ sakte
ye ḳhil.at to udū ke vāste sarkār rahne deñ
mirī turbat pe un ko sarf-e-bejā kī zarūrat kyā
kabhī kaam aa.egā ye fitna-e-raftār rahne deñ
muqaddar ko badal deñ vo zamāne ko ḳhafā kar deñ
magar apne tasavvur ko mirā ġham-ḳhvār rahne deñ
nazar un kī kahīñ putlī kahīñ āñkheñ kahīñ un kī
ye gardish dūsrī sūrat kī hai purkār rahne deñ
vo kyuuñ mujh ko tasallī deñ vo kyuuñ pochheñ mire aañsū
ghirā hai abr-e-ġham āñkhoñ ko gauhar-bār rahne deñ
koī 'beḳhud' kī jānib se zarā samjhā.e vaa.iz ko
ibādat ko farishte haiñ use mai-ḳhvār rahne deñ