donoñ hī kī jānib se ho gar ahd-e-vafā ho
chāhat kā mazā jab hai ki tum bhī mujhe chāho
ye ham nahīñ kahte haiñ ki dushman ko na chāho
is chaah kā anjām magar dekhiye kyā ho
shamshīr se baḌh kar haiñ hasīnoñ kī adā.eñ
be-maut kiyā qatl un achchhoñ kā burā ho
ma.ashūq tarah-dār ho andāz ho achchhā
dil aa.e na aise pe to phir dil kā burā ho
puurā koī hotā nazar aatā nahīñ armāñ
un ko to ye zid hai ki hamārā hī kahā ho
tum mujh ko pilāte to ho mai siina pe chaḌh kar
us vaqt agar koī chalā aa.e to kyā ho
va.ada vo tumhārā hai ki lab tak nahīñ aatā
matlab ye hamārā hai ki bātoñ meñ adā ho
ḳhanjar kī zarūrat hai na shamshīr kī hājat
tirchhī sī nazar ho koī bāñkī sī adā ho
ḳhālī to na jaa.eñ dam-e-ruḳhsat mire naale
fitna koī uTThe jo qayāmat na bapā ho
chorī kī to kuchh baat nahīñ mujh ko batā do
merā dil-e-betāb agar tum ne liyā ho
un se dam-e-raftār ye kahtī hai qayāmat
fitne se na ḳhālī koī naqsh-e-kaf-e-pā ho
bad-zan haiñ vo is tarah ki surma use samjheñ
bīmār kī āñkhoñ meñ agar niil Dhalā ho
ḳhat khol ke paḌhte hue Dartā huuñ kisī kā
lipTī huī ḳhat meñ na kahīñ merī qazā ho
marnā hai usī kā jo tujhe dekh ke mar jaa.e
jiinā hai usī kā jo mohabbat meñ jiyā ho
hai dil kī jagah siine meñ kāvish abhī baaqī
paikāñ koī pahlū meñ mire rah na gayā ho
mujh ko bhī kahīñ aur se aayā hai bulāvā
achchhā hai chalo aaj bhī va.ada na vafā ho
'beḳhud' kā fasāna to hai mash.hūr-e-zamāna
ye zikr to shāyad kabhī tum ne bhī sunā ho