vo dekhte jaate haiñ kanakhiyoñ se idhar bhī
chaltā huā jaadū hai mohabbat kī nazar bhī
uThne kī nahīñ dekhiye shamshīr-e-nazar bhī
pahle hī lachaktī hai kalā.ī bhī kamar bhī
phūTeñ mirī āñkheñ jo kuchh aatā ho nazar bhī
duniyā se alag chiiz hai furqat kī sahar bhī
saaqī kabhī mil jaa.e mohabbat kā samar bhī
in āñkhoñ kā sadqa koī sāġhar to idhar bhī
betāb huuñ kyā chiiz churā lī hai nazar ne
hone ko to dil bhī hai mire paas jigar bhī
ghar samjhā huuñ jis ko kahīñ turbat to nahīñ hai
aatī hai yahāñ shaam kī sūrat meñ sahar bhī
ḳhāmosh huuñ maiñ aur vo kuchh pūchh rahe haiñ
māthe pe shikan bhī hai ināyat kī nazar bhī
us ke lab-e-rañgīñ kī nazākat hai na rañgat
ġhunche bhī bahut dekh liye haiñ gul-e-tar bhī
aatī hai nazar duur hī se husn kī ḳhūbī
kuchh aur hī hotī hai javānī kī nazar bhī
haTtī hai jo ā.īna se paḌ jaatī hai dil par
kyā shoḳh nazar hai ki udhar bhī hai idhar bhī
bīmār-e-mohabbat kā ḳhudā hai jo sambhal jaa.e
hai shaam bhī maḳhdūsh judā.ī kī sahar bhī
mai-ḳhāna-e-ishrat na sahī kunj-e-garebāñ
āñkhoñ ke chhalakte hue sāġhar haiñ idhar bhī
mil jaa.eñ agar mujh ko to maiñ ḳhizr se pūchhūñ
dekhī hai kahīñ shām-e-judā.ī kī sahar bhī
ai shauq-e-shahādat kahīñ qismat na palaT jaa.e
bāñdhī to hai talvār bhī qātil ne kamar bhī
ai dil tirī aaheñ to sunīñ kānoñ se ham ne
ab ye tū batā us pe kareñgī ye asar bhī
ik rashk kā pahlū to hai samjhūñ ki na samjhūñ
gardan bhī hai ḳham aap kī nīchī hai nazar bhī
kuchh kaan meñ kal aap ne irshād kiyā thā
mushtāq usī baat kā huuñ bār-e-digar bhī
sofār bhī rañgīn kiye haath bhī us ne
aayā hai baḌe kaam merā ḳhūn-e-jigar bhī
chhuptī hai koī baat chhupā.e se sar-e-bazm
uḌte ho jo tum ham se to uḌtī hai ḳhabar bhī
yuuñ hijr meñ barsoñ kabhī lagtī hī nahīñ aañkh
so jaatā huuñ jab aa ke vo kah detī haiñ mar bhī
khultā hī nahīñ beḳhud-e-badnām kā kuchh haal
kahte haiñ farishta bhī use log bashar bhī